Teri Talab Thi Tere Aastan Se LauT Aae
teri talab thi tere aastan se lauT aae
KHizan-nasib rahe gulsitan se lauT aae
ba-sad-yaqin baDhe hadd-e-guman se lauT aae
dil o nazar ke taqaze kahan se lauT aae
sar-e-niyaz ko paya na jab tere qabil
KHarab-e-ishq tere aastan se lauT aae
qafas ke uns ne is darja kar diya majbur
ki us ki yaad mein hum aashiyan se lauT aae
bula rahi hain jo teri sitara-bar aankhen
meri nigah na kyun kahkashan se lauT aae
na dil mein ab wo KHalish hai na zindagi mein taDap
ye kah do phir mere dard-e-nihan se lauT aae
gulon ki mahfil-e-rangin mein KHar ban na sake
bahaar aai to hum gulsitan se lauT aae
fareb hum ko na kya kya is aarzu ne diye
wahi thi manzil-e-dil hum jahan se lauT aae
(458) Peoples Rate This