Pahli Mohabbaton Ke Zamane Guzar Gae
pahli mohabbaton ke zamane guzar gae
sahil pe ret chhoD ke dariya utar gae
teri ana niyaz ki kirnen bujha gai
jazbe jo dil mein ubhre the sharminda kar gae
dil ki fazaen aa ke kabhi KHud bhi dekh lo
tum ne jo dagh baKHshe the kya kya nikhar gae
tere badan ki lau mein karishma numu ka tha
ghunche jo teri sej pe jage sanwar gae
sadiyon mein chand phul khile aur samar bane
lamhon mein aandhiyon ke thapeDon se mar gae
shab bhar badan manate rahe jashn-e-mahtab
aai sahar to jaise andheron se bhar gae
mahfil mein teri aae the lekar nazar ki pyas
mahfil se teri le ke magar chashm-e-tar gae
qatre ki juraton ne sadaf se liya KHiraj
dariya samundaron mein mile aur mar gae
(417) Peoples Rate This