Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_22b7df217a7e9b2b9d8e478c5e6b5028, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kaisi Chali Hai Ab Ke Hawa Tere Shahr Mein - Khatir Ghaznavi Poetry In English - Darsaal

Kaisi Chali Hai Ab Ke Hawa Tere Shahr Mein

kaisi chali hai ab ke hawa tere shahr mein

bande bhi ho gae hain KHuda tere shahr mein

tu aur harim-e-naz mein pa-basta-e-hina

hum phir rahe hain aabla-pa tere shahr mein

kya jaane kya hua ki pareshan ho gai

ek lahza ruk gai thi saba tere shahr mein

kuchh dushmani ka Dhab hai na ab dosti ka taur

donon ka ek rang hua tere shahr mein

shayad tujhe KHabar ho ki 'KHatir' tha ajnabi

logon ne us ko luT liya tere shahr mein

(458) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaisi Chali Hai Ab Ke Hawa Tere Shahr Mein In English By Famous Poet Khatir Ghaznavi. Kaisi Chali Hai Ab Ke Hawa Tere Shahr Mein is written by Khatir Ghaznavi. Read famous Poem Kaisi Chali Hai Ab Ke Hawa Tere Shahr Mein for youth and Student by Khatir Ghaznavi. Free Download Kaisi Chali Hai Ab Ke Hawa Tere Shahr Mein in PDF.