Faza Ka Zarra Zarra Ishq Ki Taswir Tha Kal Shab Jahan Main Tha
faza ka zarra zarra ishq ki taswir tha kal shab jahan main tha
main KHud apni nazar mein sahib-e-tauqir tha kal shab jahan main tha
jise dekha wo diwana tha naqsh-e-dilnashin ke husn-e-adil ka
jise socha fana ke rang ki tafsir tha kal shab jahan main tha
mera dil mere jis pahlu mein raqsan tha usi pahlu mein jannat thi
ye manzar chashm-e-wa ke KHwab ki tabir tha kal shab jahan main tha
wo kya lau thi ki jis ki ek kiran mein surajon ki wusaten gum thin
mera sara jahan tanwir hi tanwir tha kal shab jahan main tha
imarat jism ki mismar hoti ja rahi har nafas lekin
dil-e-viran ko zoam-e-rifat-e-tamir tha kal shab jahan main tha
hawa ne ehtiram-e-mahfil-e-qudsi mein apnai rawish gul ki
fida is KHamushi par jauhar-e-taqrir tha kal shab jahan main tha
(394) Peoples Rate This