Yun Hirasan Hain Musafir Bastiyon Ke Darmiyan
yun hirasan hain musafir bastiyon ke darmiyan
ho gai ho sham jaise jangalon ke darmiyan
zindagi se ab yahi do-chaar pal ka sath hai
paniyon se aa gaya hun daldalon ke darmiyan
chaar jaanib phailte hi ja rahe hain regzar
tishnagi hi tishnagi hai KHwahishon ke darmiyan
dekhte hi dekhte aapas mein dushman ho gae
KHun ka dariya rawan hai bhaiyon ke darmiyan
ab to is ki zad mein hai sara nagar aaya hua
wo bhi din the sail tha jab sahilon ke darmiyan
adh-khuli aankhen hain 'KHawar' aur sanson ka azab
lash ki surat paDa hun kargason ke darmiyan
(431) Peoples Rate This