Wo Sanwar Sakta Hai Maqul Bhi Ho Sakta Hai
wo sanwar sakta hai maqul bhi ho sakta hai
mera andaza meri bhul bhi ho sakta hai
ab pas-e-abr hai jab abr se bahar nikla
wo chamak sakta hai maqbul bhi ho sakta hai
dur se dekha hai nazdik se bhi dekhunga
phul sa lagta hai jo phul bhi ho sakta hai
aaj ki shab bhi sitaron ne agar sath diya
dil jo be-kar hai mashghul bhi ho sakta hai
kyun samajhta hun ki aata hai wo meri KHatir
sair us shaKHs ka mamul bhi ho sakta hai
taKHt tabdil bhi ho sakta hai taKHte mein kabhi
apne ohde se wo mazul bhi ho sakta hai
jaanta kaun tha 'KHawar' wo daraKHshan tara
gir ke aankhon se kabhi dhul bhi ho sakta hai
(493) Peoples Rate This