Mohr Ban Kar Jo Main Ek Roz Bhi Ubhra Hota
mohr ban kar jo main ek roz bhi ubhra hota
barf ki tarah hai jo shaKHs wo dariya hota
tujh se dilkash hai kahin tere tasawwur ka jahan
tu mere pas bhi hota to main tanha hota
apne mahaul ko har phul ne mahkaya hai
mujh ko hona tha kisi ka to main apna hota
puchhta kaun hai sipi mein chhape moti ko
jo tere dil mein tha honTon pe bhi aaya hota
kis ne rakkha hai mere sar pe kaDi dhup mein hath
chhat jo hoti to mere ghar mein bhi saya hota
yun guzarta na tere sar se ye pani 'KHawar'
tu ne tufan ko uThte hi jo roka hota
(431) Peoples Rate This