Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9a12f7b6dde8d8ac4814d0e404a980b3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KaT Raha Hun Ek Ik Din Aazar Ke Sath - Khaqan Khavar Poetry In English - Darsaal

KaT Raha Hun Ek Ik Din Aazar Ke Sath

kaT raha hun ek ek din aazar ke sath

jaise raat guzarti hai bimar ke sath

shohrat tanha tai karti hai raste ko

uD kar phul nahin jata mahkar ke sath

hijr ka mausam le kar suraj nikla hai

barf lipaT kar roti hai kohsar ke sath

ghar ki har shai teri yaad dilati hai

dhyan mein chiDiya aa jae chahkar ke sath

ek hi jhonka bikhra dega patton ko

kab tak mil kar baiThenge diwar ke sath

waqt ne likh kar kaT diye hain un ke nam

jin ka sikka chalta tha talwar ke sath

'KHawar' kya kya shaklen banti rahti hain

tanhai mein yaadon ki purkar ke sath

(485) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KaT Raha Hun Ek Ik Din Aazar Ke Sath In English By Famous Poet Khaqan Khavar. KaT Raha Hun Ek Ik Din Aazar Ke Sath is written by Khaqan Khavar. Read famous Poem KaT Raha Hun Ek Ik Din Aazar Ke Sath for youth and Student by Khaqan Khavar. Free Download KaT Raha Hun Ek Ik Din Aazar Ke Sath in PDF.