Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1dc6ed56a010293db16c7443e76e15ba, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabutar Jis Taraf Se Aa Raha Hai - Khaqan Khavar Poetry In English - Darsaal

Kabutar Jis Taraf Se Aa Raha Hai

kabutar jis taraf se aa raha hai

udhar tiron ka lashkar ja raha hai

badan kirnon ka maila ho na jae

faza mein wo dhuan phaila raha hai

hamare kal ko mahkana hai us ne

magar wo phul to murjha raha hai

ye meri lash ko sahil pe rakh kar

samundar kis taraf ko ja raha hai

main kho jata kahin zulmat mein lekin

mujhe rasta koi dikhla raha hai

nahin pichhe bhi muD ke main ne dekha

ye mera jism kyun pathra raha hai

koi zina to panw mein hai 'KHawar'

jo is tezi se upar ja raha hai

(437) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabutar Jis Taraf Se Aa Raha Hai In English By Famous Poet Khaqan Khavar. Kabutar Jis Taraf Se Aa Raha Hai is written by Khaqan Khavar. Read famous Poem Kabutar Jis Taraf Se Aa Raha Hai for youth and Student by Khaqan Khavar. Free Download Kabutar Jis Taraf Se Aa Raha Hai in PDF.