Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a21c2d4eb120bf3a0e4ffce74dd3f0bf, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chup-chap Se Is Dasht Mein Zulmat Ka Saman Hai - Khaqan Khavar Poetry In English - Darsaal

Chup-chap Se Is Dasht Mein Zulmat Ka Saman Hai

chup-chap se is dasht mein zulmat ka saman hai

pathrai hui aankh mein shoala bhi kahan hai

sukhe hue patton ko jo raundo to sada den

piste hue insan ke munh mein to zaban hai

azmat ki bulandi pe main jis samt gaya hun

dekha hai tere panw ka pahle hi nishan hai

aandhi jo chali sath uDa le gai sab ko

kya jaaniye is dasht mein ab kaun kahan hai

roken bhi to 'KHawar' use roka nahin jata

jhonke pe mujhe umr-e-gurezan ka guman hai

(452) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chup-chap Se Is Dasht Mein Zulmat Ka Saman Hai In English By Famous Poet Khaqan Khavar. Chup-chap Se Is Dasht Mein Zulmat Ka Saman Hai is written by Khaqan Khavar. Read famous Poem Chup-chap Se Is Dasht Mein Zulmat Ka Saman Hai for youth and Student by Khaqan Khavar. Free Download Chup-chap Se Is Dasht Mein Zulmat Ka Saman Hai in PDF.