Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7eb7869cbe10e5a091e8ba2293f4d9f4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bar Bar Ek Hi Nazzara Na Dikhlaya Kar - Khaqan Khavar Poetry In English - Darsaal

Bar Bar Ek Hi Nazzara Na Dikhlaya Kar

bar bar ek hi nazzara na dikhlaya kar

baat dilkash bhi agar ho to na dohraya kar

log gir jate hain miTTi ke gharondon ki tarah

is tarah barish-e-didar na barsaya kar

peD ka saya nahin TuTa hua patta hun

mujh ko jazbaat ke dariya mein na Thahraya kar

TuT jae na kisi roz tera shish-mahal

yun sar-e-rah na diwanon ko samjhaya kar

mere ehsas ko ek phul bahut hai 'KHawar'

mere ehsas pe yun sang na barsaya kar

(394) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bar Bar Ek Hi Nazzara Na Dikhlaya Kar In English By Famous Poet Khaqan Khavar. Bar Bar Ek Hi Nazzara Na Dikhlaya Kar is written by Khaqan Khavar. Read famous Poem Bar Bar Ek Hi Nazzara Na Dikhlaya Kar for youth and Student by Khaqan Khavar. Free Download Bar Bar Ek Hi Nazzara Na Dikhlaya Kar in PDF.