Thaharna Bhul Gai Hain Lahu Se Tar Aankhen
Thaharna bhul gai hain lahu se tar aankhen
bhaTakti rahti hain din raat dar-ba-dar aankhen
wajud mera kahin kho na jae bin tere
rahengi yun hi tere sath umr bhar aankhen
tum apni aankhon ko nazzara-e-jahan baKHsho
meri to ghumti rahti hain ret par aankhen
tilism-KHana-e-hairat hai ek putli mein
dikhati hain mujhe kya kya ye muKHtasar aankhen
tumhaare wade pe aisa yaqin hai dil ko
kabhi hain dar pe kabhi waqf-e-rahguzar aankhen
teri nazar ke taaqub mein hai nazar meri
teri nazar hai jidhar hain meri udhar aankhen
ye KHadd-o-KHal ye gesu ye surat-e-zeba
sabhi ka husn hai apni jagah magar aankhen
(408) Peoples Rate This