Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_529ffceb4696553645c1f214761b04e8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Aur Main - Khan Mohammad Khaleel Poetry In English - Darsaal

Wo Aur Main

jab zamin ke pyase honT

bund bund ko tarse

us ki kokh ne jab bhi

sabz bachche janne ki aarzu mein lab khole

tab shafiq baadal ne

apni jaan ke amrit se

is zamin ke sine mein

qatra qatra ras ghola

be-badan daraDon se

zindagi uga Dali

han ye sab hua lekin

koi aa ke baadal se

sirf is qadar puchhe

teri pyas ka dozaKH

sard hai ki jalta hai

(422) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Aur Main In English By Famous Poet Khan Mohammad Khaleel. Wo Aur Main is written by Khan Mohammad Khaleel. Read famous Poem Wo Aur Main for youth and Student by Khan Mohammad Khaleel. Free Download Wo Aur Main in PDF.