Tufan Ke Dar Se Rang UDa Bhi Isi Ka Tha
tufan ke Dar se rang uDa bhi isi ka tha
lekin safina par laga bhi usi ka tha
jo honT sil gae wo sana-KHwan usi ke the
jo mar gaya wo harf-e-dua bhi usi ka tha
utri thi us ke ghar mein mah-o-mahr ki baraat
aur mera TimTimata diya bhi usi ka tha
minar-e-jaan mein us ki sada gunjti rahi
lauh-e-jabin pe nam likha bhi usi ka tha
thi us ke aks-e-ruKH se shafaq-rang zindagi
mere lahu mein rang-e-hina bhi usi ka tha
KHamoshiyon pe pahle kabhi us ka bas na tha
phir yun hua ki shahr-e-sada bhi usi ka tha
pahle to chand log taraf-dar the mere
phir wo bhi waqt tha ki KHuda bhi usi ka tha
(403) Peoples Rate This