Sulagti Rut Thi Pa Kab Tu Bhi Pas Aisa Tha
sulagti rut thi pa kab tu bhi pas aisa tha
ki tere qurb ka manzar bhi pyas aisa tha
bichhaD ke tujh se to KHud se bhi sharm aati hai
tera wajud-e-badan par libas aisa tha
KHud apne dil ki sada teri dastakon si lagi
guman mein tha tera aana qayas aisa tha
shikast-o-reKHt ki saKHti ko kaise jhel gaya
mulaemat mein jo paikar kapas aisa tha
jahan kahin bhi gaya hun to ghar ko lauT aaya
udasiyon ka ye mahaul ras aisa tha
fasil-e-shahr giri aur ghanim ke Dar se
koi na chain se soya hiras aisa tha
paDhen to KHud ko zamin-bos paen kaj-dastar
meri kitab mein ek iqtibas aisa tha
(396) Peoples Rate This