Aashiq Jo Is Gali Ka Bhi Mar Kar Chala Gaya
aashiq jo is gali ka bhi mar kar chala gaya
duniya se ek aur qalandar chala gaya
ghurbat ka apne haal tujhe aur kya kahun
ek din to ek faqir bhi uTh kar chala gaya
firaun apne daur ka zinda hai aaj bhi
duniya samajh rahi thi sitamgar chala gaya
chaqu pe hai nishan kisi be-gunah ka
qatil to hath mein liye KHanjar chala gaya
wo tinka joD kar ke nasheman jo tha bana
basti ki aag mein wo mera ghar chala gaya
ummid kar chuka tha nae sal se bahut
ek aur zaKHm de ke december chala gaya
laila se jo mila tha wo patthar liye hue
'jaanbaz' apne shahr se bahar chala gaya
(529) Peoples Rate This