Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f4f4158bce163910e424191123d8ff22, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sochon Ke Hathon Ka Gahna TuT Gaya - Khalish Barodvi Poetry In English - Darsaal

Sochon Ke Hathon Ka Gahna TuT Gaya

sochon ke hathon ka gahna TuT gaya

lafzon se lafzon ka rishta TuT gaya

waqt ne ninden chhin lin meri aankhon se

tu tha jis ki jaan wo sapna TuT gaya

us ne bas ek phul chaman mein toDa tha

mere andar jaane kya kya TuT gaya

ab ke ganw mein jaana chaha tha lekin

aisi hui barsat ki rasta TuT gaya

waqt se loha lena aasan kaam na tha

is koshish mein hath hamara TuT gaya

hum KHud us se tark-e-talluq kar baiThe

jhuTa sachcha har ek wada TuT gaya

kya batlaun kaun sa tha bazar 'KHalish'

jis mein mere dil ka jhumka TuT gaya

(420) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sochon Ke Hathon Ka Gahna TuT Gaya In English By Famous Poet Khalish Barodvi. Sochon Ke Hathon Ka Gahna TuT Gaya is written by Khalish Barodvi. Read famous Poem Sochon Ke Hathon Ka Gahna TuT Gaya for youth and Student by Khalish Barodvi. Free Download Sochon Ke Hathon Ka Gahna TuT Gaya in PDF.