Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_gu9iu76ch3b21kgq1t5ih81864, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Na KHat Likhe Na Diye Un Ko Tar Ab Ke Baras - Khalish Barodvi Poetry In English - Darsaal

Na KHat Likhe Na Diye Un Ko Tar Ab Ke Baras

na KHat likhe na diye un ko tar ab ke baras

guzar gai yun hi sari bahaar ab ke baras

na soe raat ko ja kar khuli hui chhat par

kiye na hum ne sitare shumar ab ke baras

guzishta sal bhi dil be-qarar tha lekin

ajib tarah ki uljhan hai yar ab ke baras

kisi bhi lab pe tabassum ke gul nahin mahke

kisi bhi aankh se chhalka na pyar ab ke baras

ye rang kyun nahin jachte meri nigahon mein

ye phul kyun mujhe lagte hain KHar ab ke baras

na jaane kis tarah logon ke din guzarte hain

kisi ke ruKH pe nahin hai nikhaar ab ke baras

karoge kaise 'KHalish' apni be-kali ka ilaj

sharab mein bhi nahin hai KHumar ab ke baras

(331) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na KHat Likhe Na Diye Un Ko Tar Ab Ke Baras In English By Famous Poet Khalish Barodvi. Na KHat Likhe Na Diye Un Ko Tar Ab Ke Baras is written by Khalish Barodvi. Read famous Poem Na KHat Likhe Na Diye Un Ko Tar Ab Ke Baras for youth and Student by Khalish Barodvi. Free Download Na KHat Likhe Na Diye Un Ko Tar Ab Ke Baras in PDF.