Hausla De De Ke Uncha Mera Sar Usne Kiya
hausla de de ke uncha mera sar us ne kiya
zulm ke aage mujhe sina-sipar us ne kiya
pyar se sab dushmanon ke dil mein ghar us ne kiya
dosti ka marka is tarah sar us ne kiya
jin ko pine ka saliqa tha na jine ka shuur
band un logon pe maiKHane ka dar us ne kiya
pahle to diwar uThai shahr ke chaaron taraf
phir usi diwar mein ek roz dar us ne kiya
pahle apna gham tha par us ka tha ab duniya ka hai
dhire dhire ek paude ko shajar us ne kiya
kaun si shai thi jo is dharti ke daman mein na thi
phir na jaane kyun KHalaon ka safar us ne kiya
jo 'KHalish' waqif na the sher-o-suKHan ke nam se
aam un logon pe 'ghaalib' ka hunar us ne kiya
(390) Peoples Rate This