Waqt Ne Dil Ki Tabiat Mein Wafa Rakkhi Hai
waqt ne dil ki tabiat mein wafa rakkhi hai
kulfat-e-agahi phir us ki saza rakhi hai
dil ho pazhmurda to hai KHanda-e-gul be-mani
har KHushi aur ghami dil ne chhupa rakkhi hai
chaak karti hai saba subh ko ghunchon ke jigar
ye kahani mujhe shabnam ne suna rakkhi hai
ghunche ghunche mein hai poshida salib-e-gham-e-dost
kis ne phulon mein ye qatil ki ada rakkhi hai
kis ke chhup jaane se hairan hui hai duniya
kis ke jalwon ne ye diwani bana rakkhi hai
zindagi ho gai kis tarah tu itni sasti
kis liye tu ne bhari duniya sata rakkhi hai
ilm se jis ke mujhe mil sake manzil ka nishan
waqt ne mujh se wahi baat chhupa rakkhi hai
hum ne har moD pe chahat ke jalae hain charagh
hum ne har gam pe ulfat ki bina rakkhi hai
tafraqon ka nahin aapas mein kahin koi jawaz
sab ne auham ki diwar uTha rakkhi hai
dard-e-hijran ke tasalsul se na ghabra dil-e-zar
ishq ne dard ke andar hi dawa rakkhi hai
waqt le aaya hai KHud had mein use der sawer
jis ne bhi qad se siwa apni ana rakkhi hai
us sitamgar ka mein ai 'raaz' karun kya shikwa
har bala mere liye jis ne rawa rakkhi hai
(377) Peoples Rate This