Sach Hai Gham-e-firaq Mein Hum Ro Nahin Sake
sach hai gham-e-firaq mein hum ro nahin sake
wo bhi tamam raat magar so nahin sake
be-faeda hai chahna asnam se wafa
ye sang-dil kisi ke kabhi ho nahin sake
patthar ke log hain jahan shishe ke baam-o-dar
hum us zamin mein dard-e-wafa bo nahin sake
sine mein ek dagh laga aur umr-bhar
dhote rahe wo dagh magar dho nahin sake
aadab-e-parda-dari-e-zabt-e-fughan na puchh
tufan dil mein uThte rahe ro nahin sake
ranginiyon ke ahd mein KHushiyon ke daur mein
chaha ghamon ko khona magar kho nahin sake
tasKHir-e-mahtab mukammal to ho gai
daman mein us ke ek bhi pal so nahin sake
ayyari-e-siyasat-e-ahbab dekhiye
chaha kisi ke ho ke rahen ho nahin sake
(367) Peoples Rate This