Ruh-e-zaman Makan Mile Raaz-e-ayan Nihan Mile
ruh-e-zaman makan mile raaz-e-ayan nihan mile
kab se hun garm-e-justuju manzil-e-kun-fakan mile
nadira-e-zaman mile nabigha-e-jahan mile
jis ko main DhunDhta hun wo nazish-e-mah-washan mile
nala-e-arghawan mile shoala-e-arghawan mile
saiqa-e-tapan mile jalwa-e-be-aman mile
kakul-e-kahkashan khule aariz-e-la-makan mile
dil-bar-e-hast-o-bud ka kash kahin nishan mile
yun to hamein hazar-ha jalwe jahan-tahan mile
jis ki magar talash hai dekhiye kab kahan mile
DhunD rahe hain aaj tak jin ko wahi kahan mile
warna rah-e-hayat mein sainkaDon karwan mile
shoala-fishan zamin par sainkaDon aasman mile
dil ko jahan sakun mile kash wo aastan mile
meri nazar mein kam nahin wo bhi kisi se KHush-nasib
jis ko gham-e-firaq ki daulat-e-be-karan mile
wajh-e-nashat-e-shauq hai kitna hasin wo ek gham
yun to yahan hazar-ha roz-e-gham nihan mile
soch rahe hain aaj hum apni bhi qadr kya hai kam
wo hamein gar na mil sake hum bhi unhen kahan mile
un ke liye gul-o-bahaar aur hamein KHizan-o-KHar
un ko bhi gulsitan mile hum ko bhi gulsitan mile
soz-o-gudaz-o-dard-o-gham hasrat-o-dil-shikastagi
zist mein kitne qimti hum ko ye armughan mile
qarya-ba-qarya shahr shahr TuT raha hai aaj qahr
chiKH uThi hai ruh-e-dahr kash kahin aman mile
sham-e-junun liye hue DhunD raha hai shahr shahr
ahd-e-KHirad mein 'raaz' ko koi to raazdan mile
(467) Peoples Rate This