Har Shai Mein Numayan Hai Jalwa Aankhon Se Magar Mastur Bhi Hai
har shai mein numayan hai jalwa aankhon se magar mastur bhi hai
shah-e-rag se qarin hai husn-e-azal shahpar se nazar ke dur bhi hai
hai parda-andar-parda wo aur arz-o-sama ka nur bhi hai
jab yaad karo nazdik hai wo jab DhunDo us ko dur bhi hai
mahdud bhi la-mahdud bhi hai aazad bhi hai majbur bhi hai
faizan-e-nazar se har zarra hoshiyar bhi hai maKHmur bhi hai
hai zarra zarra bhi sahra hai qatra qatra bhi dariya
samjho na to aiman hai patthar patthar ko jo samjho tur bhi hai
phir jabr-o-sitam ke sae mein kuchh log KHuda ban baiThe hain
musa hi nahin hain ab warna firaun bhi hai aur tur bhi hai
jaise ghunche khil uThte hain tar ho kar ashk-e-shabnam se
dil shab-bhar hijr mein ro ro kar har subh yunhi masrur bhi hai
kamzor hi se taqsiren hain majburi par taziren hain
ye Dagar Dagar mashhur bhi hai ye nagar nagar dastur bhi hai
(367) Peoples Rate This