Har Jagah Bandish-e-adab Ki Parwa Na Karen
har jagah bandish-e-adab ki parwa na karen
mahram-e-raaz se behtar hai ki parda na karen
ishq ki kohna riwayat ko ruswa na karen
baat to ye hai sar-e-dar bhi lab wa na karen
maut bhi samne aa jae to parwa na karen
jaan-ba-kaf dil ko misal-e-dil-e-parwana karen
dil pe hirs-o-hasd-e-baadiya-paima na karen
is se behtar hai ki shaghl-e-mai-o-paimana karen
pursish-e-gham se mere gham ko do-baala na karen
ye karam aaj se aainda dobara na karen
uThne lagta hai tumhein dekh ke mauhum sa dard
aaj se aap mere samne aaya na karen
dard uThta hai agar chaaragaron ko DhunDen
dard-e-ulfat hai to phir fikr-e-mudawa na karen
waqt ke hath mein hai khoTe khare ki tasdiq
aap achchhe hain to achchhai ka dawa na karen
lag na jae ruKH-e-gul-rang ko apni hi nazar
apni surat kabhi aaine mein dekha na karen
chheD deti hai ye aawaz-e-hazin ruh ke tar
dam-e-ruKHsat lab-e-gulrez ko goya na karen
dil-o-iman to nahin han magar ai ahl-e-sitam
jaan hazir hai jo manzur ye nazrana karen
raaz-e-sar-basta hai dil aur ye behtar hai ki 'raaz'
parda hum chehra-e-hasti se uThaya na karen
(383) Peoples Rate This