Dilbaron Ke Raaz Ka Mahram Hua
dilbaron ke raaz ka mahram hua
dard se dil misl-e-jam-e-jam hua
raat-din aansu bahe matam hua
dard furqat ka na lekin kam hua
rah gaya hun ban ke ek taswir-e-gham
gham ke hathon hae kya aalam hua
zaKHm khae ek muddat ho gai
soz-e-dil lekin nahin maddham hua
dard-e-ulfat ki hasin tashkil mein
imtizaj shoala-o-shabnam hua
ek uThna tha nigah-e-naz ka
donon aalam ka ajab aalam hua
pur-KHatar pur-pech hai rah-e-hayat
chal saka jitna bhi jis mein dam hua
phir saba mein hai nai diwangi
kya mizaj-e-zulf phir barham hua
waqt ne paiham lagae dil pe zaKHm
waqt KHud hi un ka phir marham hua
aai ek allahu-akbar ki sada
sar mera pesh-e-sanam jab KHam hua
na-rasa jitne rahe nale mere
is qadar iman mera mohkam hua
raaz se ahl-e-hawas hain munharif
ye bhi goya sajda-e-adam hua
(354) Peoples Rate This