Barson Ashkon Se Wuzu Ka Silsila Karte Rahe
barson ashkon se wuzu ka silsila karte rahe
hum namaz-e-zindagi yun bhi ada karte rahe
hum barabar dosti ka haq ada karte rahe
aur wo rozana ek fitna khaDa karte rahe
hum bayan ro ro ke dil ka muddaa karte rahe
ahl-e-mahfil muskura kar wah-wa karte rahe
kya bataen zindagani ishq ki kaise kaTi
wo jafa karte rahe aur hum wafa karte rahe
umr-bhar ahl-e-watan ne baat tak mujh se na ki
log meri qabr par phir jamghaTa karte rahe
chand ke manind mukhDe ki ziya-pashi ke gird
apni zulf-e-ambarin se wo ghaTa karte rahe
ek nazar tu ne na dekha bismilan-e-zar ko
log tera zikr-e-chashm-e-surma-sa karte rahe
wo jinhen aai mayassar ibtida-e-mal-o-zar
hum pe har lahza sitam ki intiha karte rahe
ahl-e-danish dekhen un ki sadgi bechaargi
jo wasilon ke bharose par KHata karte rahe
rahrawo ruk jao socho is paheli ka jawab
rahnumaon ke nishane kyun KHata karte rahe
kya sunaen jaan-ba-lab qaumon ki bimari ka haal
dard baDhta hi gaya jun jun dawa karte rahe
ho na paya jaan-ba-lab lakhon gharibon ka ilaj
ahl-e-sarwat tanduruston ki dawa karte rahe
ho gae koshish mein apni kaam wale kaamyab
aur nakara muqaddar ka gila karte rahe
main to bahr-e-gham ke tufanon se Takraata raha
log kuchh sahil pe baiThe tabsira karte rahe
man tura haji bagoyam tu mora haji bago
shairan-e-pesha-war ye mashghala karte rahe
shar-pasandon ki riayat mein faqihan-e-kiram
zisht ko KHub aur rawa ko narawa karte rahe
sarguzisht apni to sari ye hai ai rabb-e-rahim
darguzar karta raha tu hum KHata karte rahe
raat chashm-e-'raaz' pahron ashk barsati rahi
khel ke shauqin rona kirkira karte rahe
(347) Peoples Rate This