Pichhle Janam Ki Kathaen

mujhe kuchh nahin gyan

ye zindagi kya hai?

ye maut kya hai?

main kitne dinon se yahi sochta hun

ki main kya hun? main kya nahin hun

mari umr jis tarah guzri hai

is ko bhi kyun ek umr kahiye

ye ek umr mein taqsim hai

aur har lamha ek dusre se juda hai

jab ek lamha marta hai

to dusra lamha taKHliq pata hai

pahlu mein aa kar mere baiTh jata hai

aur puchhta hai tum kaun ho?

main phir sochta hun

ki main kaun hun?

kyun ki main pichhle lamhe mein jo kuchh tha

wo ab nahin hun

to kya main har ek lamha phir se naya janm leta hun

har ek lamha ek umr hai?

to kya main har ek lamha

aisi kathaen sunata hun

jo pichhle janmon se mansub hain?

(415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pichhle Janam Ki Kathaen In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Pichhle Janam Ki Kathaen is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Pichhle Janam Ki Kathaen for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Pichhle Janam Ki Kathaen in PDF.