Lamhe Ki Maut

kuchh dur talak

kuchh dur talak

wo lamha us ke sath chala

jab us ne dil mein ye socha

ye girti diwaren

ye dhuan

ye kali chhaten

ye andhe diye

sanwlate hue sare chehre

ab us ki nigahon se ojhal ho jaenge

jab nagar nagar ki siyahi

in teDhi-meDhi saDkon ki

aawaragardi

hanste jism

khanakte pyalon

ki mausiqi

us ko ras na aai

us ne kaha

ab aao lauT chalen

ek sham wo apne ghar pahuncha

aur us se milne ko aae

sab sathi us ke bachpan ke

sab kahne lage

in jag-mag karte shahron ka

kuchh haal batao

apne safar ki

kuchh rudad kaho

wo KHamosh raha

wo dekh raha tha us maile se taq ko

jis par

ab bhi ek ghaDi rakkhi thi

aur wo band paDi thi

(425) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lamhe Ki Maut In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Lamhe Ki Maut is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Lamhe Ki Maut for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Lamhe Ki Maut in PDF.