KHwabon Se Dar Lagta Hai
kal ka suraj isi dahliz pe dekhega mujhe
kal bhi kashkol mera sham ko bhar jaega
kal ki taKHliq bhi hogi yahi ek nan-e-jawin
kal bhi har din ki tarah yunhi guzar jaega
bhuk ki aag jo bujhti hai to nind aati hai
nind aati hai to kuchh KHwab dikhati hai mujhe
KHwab mein milte hain kuchh log bichhaD jate hain
un ki yaad aur bhi rah rah ke satati hai mujhe
kal bhi DhunDunga inhen ja ke gali kuchon mein
kal bhi mil jaenge in KHwabon ke paikar kitne
kal bhi ye hath lagate hi badal jaenge
kal bhi phenkenge meri samt ye patthar kitne
aaj ki raat mujhe nind nahin aaegi
aaj ki raat mujhe KHwabon se Dar lagta hai
(392) Peoples Rate This