Huruf O Alfaz Ke ZaKHire
huruf o alfaz ke zaKHire
yahi hain wo daere
ki jin mein asir tum bhi ho aur main bhi
tumhaara jo nam
chand harfon se mil ke banta hai
chahe mafhum us ka kuchh bhi ho
chahe mafhum se wo KHali ho
chahe us kaifiyat ke bar-aks ho
jo tum mein numud pati hai
aisi ek ruh
jo kisi jism mein
kisi aaina mein utri ho
ek paikar mein Dhal gai ho
mera bhi ek nam hai
usi nam se log mujhe jaante hain
ye nam bhi
chand alfaz ko milane se ban gaya hai
ab is ka kiya zikr mujh pe ye kitna saj raha hai
to kya hamara tumhaara sambandh itna hi hai
ki chand alfaz
chand alfaz se mil rahe hain
magar isi nam ke to kuchh aur log honge
agar na honge to kal isi nam ke aur kai log honge
agar hamara wajud in se kuchh mawara hai
huruf o alfaz se siwa hai
to us ke izhaar ka aur Dhang kya hai
(501) Peoples Rate This