Aaina-dar-aina
main aaj sawere jag uTha
dekha ki hai har-su sannaTa
chup-chap hai sara ghar aangan
bahar se band hai darwaza
sab bhai bahan biwi bachche
aaKHir hain kahan hai kya qissa
itne mein ajab ek baat hui
nagah jo dekha aaina
ek aadmi mujh ko aaya nazar
mujh se hi magar milta-julta
do sing hain us ke sar pe uge
ye dew hai koi ya dewta
tum kaun ho ye puchha main ne
par koi na mujh ko jawab mila
main kanp uTha thar thar thar thar
socha ki karun jhuk kar sajda
itne mein hui ek aahaT si
main sun ke yakayak chaunk uTha
ab der hui uThiye papa
han mujh ko daftar jaana hai
us KHwab ka lekin kya hoga
(416) Peoples Rate This