Nashsha-e-mai Ke Siwa Kitne Nashe Aur Bhi Hain
nashsha-e-mai ke siwa kitne nashe aur bhi hain
kuchh bahane mere jine ke liye aur bhi hain
ThanDi ThanDi si magar gham se hai bharpur hawa
kai baadal meri aankhon se pare aur bhi hain
ishq-e-ruswa tere har dagh-e-farozan ki qasam
mere sine mein kai zaKHm hare aur bhi hain
zindagi aaj talak jaise guzari hai na puchh
zindagi hai to abhi kitne maze aur bhi hain
hijr to hijr tha ab dekhiye kya bitegi
us ki qurbat mein kai dard nae aur bhi hain
raat to KHair kisi tarah se kaT jaegi
raat ke baad kai kos kaDe aur bhi hain
gham-e-dauran mere bazu-e-shikasta se na khel
mashghale meri jawani ke liye aur bhi hain
wadi-e-gham mein mujhe der tak aawaz na de
wadi-e-gham ke siwa mere patte aur bhi hain
(362) Peoples Rate This