Wo Jis Ka Sath Nibhane Ka Hausla Na Hua
wo jis ka sath nibhane ka hausla na hua
bichhaD gaya to bhulane ka hausla na hua
idhar udhar ke sunae hazar afsane
dilon ki baat sunane ka hausla na hua
ye aur baat ki ba-hausla hun main phir bhi
nae charag jalane ka hausla na hua
KHalij kitne zamanon ki kar gaya paida
wo ek qadam ki uThane ka hausla na hua
kitab-e-zehn ka koi waraq bhi sada nahin
likhe huruf miTane ka hausla na hua
guzar gai thi shab-e-hijr hijr mein 'uzma'
charag phir bhi bujhane ka hausla na hua
(444) Peoples Rate This