Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_66ab527abb32d5bd2fee1447bd8a0753, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Sher Ko Gulab Kiya Kya Ghalat Kiya - Khalid Yusuf Poetry In English - Darsaal

Har Sher Ko Gulab Kiya Kya Ghalat Kiya

har sher ko gulab kiya kya ghalat kiya

han tera intiKHab kiya kya ghalat kiya

raunda nahin kabhi kisi jugnu ko zer-e-pa

zarre ko aaftab kiya kya ghalat kiya

lab par har ek shaKHs ke thi maslahat ki mohr

hum ne hi kuchh KHitab kiya kya ghalat kiya

jo mawara-e-zehn-e-faqihan tha wo gunah

us ka bhi irtikab kiya kya ghalat kiya

kab tak pisenge zulm ki chakki mein mere log

elan-e-inqalab kiya kya ghalat kiya

jo dushman-e-awam the nafrat unhin se ki

aur ishq be-hisab kiya kya ghalat kiya

is aas mein ki sab ko mayassar ho sukh ki nind

qurban har ek KHwab kiya kya ghalat kiya

aaya adab bara-e-adab ka KHayal jab

likhne ka band bab kiya kya ghalat kiya

'KHalid' rahe na sab ki tarah bas qalam quli

zulmat ko be-naqab kiya kya ghalat kiya

(424) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Sher Ko Gulab Kiya Kya Ghalat Kiya In English By Famous Poet Khalid Yusuf. Har Sher Ko Gulab Kiya Kya Ghalat Kiya is written by Khalid Yusuf. Read famous Poem Har Sher Ko Gulab Kiya Kya Ghalat Kiya for youth and Student by Khalid Yusuf. Free Download Har Sher Ko Gulab Kiya Kya Ghalat Kiya in PDF.