Bane Jo Shams-o-qamar Nang-e-asman Nikle
bane jo shams-o-qamar nang-e-asman nikle
jinhen charagh samajhte rahe dhuan nikle
zara si der mein ek rind ho gaya momin
yaqin use bhi na tha hum bhi KHush-guman nikle
na hum mein jauhar-e-'ghaalib' na un mein shan-e-'zafar'
to kis qusur mein koi qasida-KHwan nikle
kisi ki chah mein jab jaan bhi hum ganwa aae
to lutf-e-yar ke qisse kahan kahan nikle
main sochta hun ki tariKH kya kahegi hamein
sahar ba-dosh chale shab ke pasban nikle
hadaf hamin ko banana ki mo'atabar Thahro
is anjuman mein agar zikr-e-dostan nikle
jo sang-e-mil the be-abru hue 'KHalid'
jo gard-e-pa bhi na the mir-e-karwan nikle
(368) Peoples Rate This