KHwab-nagar
mera man ek KHwab-nagar hai
mere man ki galiyon, bazaron aur chaurahon mein
lafzon, rangon aur KHushbuon ki
halki halki barish hoti rahti hai
mera man ek KHwab-nagar hai
mere man mein
chah ke chashme
amn ki nahren
aas ke dariya
pyar samundar
har su bahte rahte hain
jin mein naha kar
apne bhi begane bhi
danai ki dhup mein leTe
sehr-zada se rahte hain
mera man ek KHwab-nagar hai
mere man mein
durweshon ka Dera bhi hai
is Dere par
shaer, sufi, papi, dana sab aate hain
kuchh sapne wo le jate hain
kuchh sapne wo de jate hain
in sapnon ki dharti se jab
ghazlon, nazmon, giton ke kuchh
phul khulin to barson phir wo
KHwab-nagar ko mahkate hain
mera man ek KHwab-nagar hai
mere man ki galiyon, bazaron aur chaurahon par
lafzon, rangon aur KHushbuon ki
halki halki barish hoti rahti hai
(436) Peoples Rate This