Tujhse Sab Kuchh Kah Ke Bhi Kuchh An-kahi Rah Jaegi

tujh se sab kuchh kah ke bhi kuchh an-kahi rah jaegi

guftugu itni baDhegi kuchh kami rah jaegi

apne lafzon ke sabhi tohfe tujhe dene ke baad

aaKHiri saughat meri KHamushi rah jaegi

kashtiyan mazbut sab bah jaengi sailab mein

kaghzi ek naw meri zat ki rah jaegi

hirs ke tufan mein Dhah jaenge sare mahal

shahr mein darwesh ki ek jhonpaDi rah jaegi

chhoD kar mujh ko chale jaenge sare aashna

subh-dam bas ek laDki ajnabi rah jaegi

raat bhar jalta raha hun main 'suhail' is aas mein

main to bujh jaunga lekin raushni rah jaegi

(331) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhse Sab Kuchh Kah Ke Bhi Kuchh An-kahi Rah Jaegi In English By Famous Poet Khalid Suhail. Tujhse Sab Kuchh Kah Ke Bhi Kuchh An-kahi Rah Jaegi is written by Khalid Suhail. Read famous Poem Tujhse Sab Kuchh Kah Ke Bhi Kuchh An-kahi Rah Jaegi for youth and Student by Khalid Suhail. Free Download Tujhse Sab Kuchh Kah Ke Bhi Kuchh An-kahi Rah Jaegi in PDF.