Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_32ac0d6f8ba1bf7e59f9e7b04a7c5755, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kitne Tafakkuraat Se Aazad Ho Gaya - Khalid Siddiqui Poetry In English - Darsaal

Kitne Tafakkuraat Se Aazad Ho Gaya

kitne tafakkuraat se aazad ho gaya

wo aadmi jo inT pe sar rakh ke so gaya

suraj Dhala to taq mein jalta hua diya

tarikiyon se bar-sar-e-paikar ho gaya

apni ghalazaten thin ki az-rah-e-iltifat

sailab shahar ke dar-o-diwar dho gaya

ek dost se yahan bhi mulaqat ho gai

rahna yahan bhi ab mera dushwar ho gaya

ek aur khet pakki saDak ne nigal liya

ek aur ganw shahar ki wusat mein kho gaya

'KHalid' mujhe to achchhi tarah yaad bhi nahin

wo hadsa jo kal meri palken bhigo gaya

(421) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitne Tafakkuraat Se Aazad Ho Gaya In English By Famous Poet Khalid Siddiqui. Kitne Tafakkuraat Se Aazad Ho Gaya is written by Khalid Siddiqui. Read famous Poem Kitne Tafakkuraat Se Aazad Ho Gaya for youth and Student by Khalid Siddiqui. Free Download Kitne Tafakkuraat Se Aazad Ho Gaya in PDF.