Meri TaKHliq Hui Jis Ki Tag-o-taz Ke Sath
meri taKHliq hui jis ki tag-o-taz ke sath
wahi zarra mujhe takta hai baDe naz ke sath
jurm ke baad khula dil pe dar-e-KHauf-e-saza
zehan bedar hua subah ke aaghaz ke sath
main ne bhi toD diya KHak ki KHushbu ka tilism
kho gaya main bhi KHalaon mein baDe raaz ke sath
phir meri rah mein hail hai wahi koh-e-sukut
main ne kaTa tha jise tesha-e-awaz ke sath
DhunDhti phirti hai kirdar ko tamsil-e-gunah
rat-jage KHatm hue 'KHalid'-e-shiraaz ke sath
(436) Peoples Rate This