Aankh Ki Zid Ko Hamesha Hi Se Bahlaya Gaya
aankh ki zid ko hamesha hi se bahlaya gaya
ek chehre ko kai chehron mein dikhlaya gaya
mere panw nit nae raston se the kab aashna
sadiyon pahle tha jahan mujh ko wahin paya gaya
phir hui bedar KHwahish aankh mein aai chamak
phir kisi ko dhup sa malbus pahnaya gaya
sunne walon ne to dekha bhi nahin tha chaunk kar
raaz sine se nikal ke honT par aaya gaya
is qadar tha sang-dil jaise kisi qatil ka dil
mujh se wo mahaul ai 'KHalid' na apnaya gaya
(450) Peoples Rate This