Wo To Gaya Ab Apni Ana Ko SameT Le
wo to gaya ab apni ana ko sameT le
ai gham-gusar dast-e-dua ko sameT le
baalon mein apne Dal le ab KHak-e-ku-e-yar
banhon mein us gali ki hawa ko sameT le
miTTi ki ek lakir bhi kah degi dastan
chalne ka shauq hai to rida ko sameT le
in aablon ki raushni bhaTkegi shahr mein
ai kucha-gard gardish-e-pa ko sameT le
lafzon ko tark kar de ki in ko nahin sabaat
aankhon mein aaj apni wafa ko sameT le
bas ek chup hi tere labon par saji rahe
bas apne dil mein sail-e-bala ko sameT le
'KHalid' kabhi to tazkira-e-jaan suna hamein
apni sada mein KHauf-e-sada ko sameT le
(492) Peoples Rate This