Jis Ko Pa Kar Hum Ye Samjhe The Ki Kuchh Khoya Nahin
jis ko pa kar hum ye samjhe the ki kuchh khoya nahin
wo jo bachhDa hai to jaise koi bhi apna nahin
wo abhi shadab hai jangal ke phulon ki tarah
us ke chehre par gae mausam ne kuchh likkha nahin
aaj se ek dusre ko qatl karna hai hamein
tu mera paikar nahin hai main tera saya nahin
main ne kaise pyare pyare log saunpe the tujhe
ai gham-e-jaan ai gham-e-jaan ye meri duniya nahin
main use kaise pukaron kis tarah aawaz dun
jis ko apna kah na paun aur begana nahin
aa ki pahle aablon ke zaKHm hi taza karen
ai mere zauq-e-safar ab koi bhi sahra nahin
ham-safar bhi tha magar izn-e-shanasai na tha
wo mere pahlu mein tha aur main ne pahchana nahin
(543) Peoples Rate This