Tarik Zindagi Ko Banane Laga Hai Wo
tarik zindagi ko banane laga hai wo
suraj se raushni ko churane laga hai wo
likh likh ke mere nam aziyyat ke dasht-o-dar
jagir mere gham ki baDhane laga hai wo
ehsas ki salib liye chal raha hun main
dasht-e-junun mein shor machane laga hai wo
mujh se hi le ke mere saliqe ki raushni
tahzib ki zaban sikhane laga hai wo
taKHliq-e-kaenat ka gar main sabab raha
phir kyun mera waqar ghaTane laga hai wo
parwardigar meri shahadat qubul kar
talwar le ke samne aane laga hai wo
'KHalid' main us ke hath ki tahrir tha magar
harf-e-ghalat samajh ke miTane laga hai wo
(382) Peoples Rate This