Apni Na-karda-gunahi Ka Sila Bhi Rakh Le
apni na-karda-gunahi ka sila bhi rakh le
dil ke KHane mein zara KHauf-e-KHuda bhi rakh le
tujh ko le jaegi sannaTe mein ek roz hayat
apne kanon ke liye sang-e-sada bhi rakh le
bujh na jae kahin ehsas ke shoalon ka mizaj
munjamid waqt hai thoDi si hawa bhi rakh le
fasla aur baDha degi ana ki dahliz
darmiyan zina-e-iKHlas-e-wafa bhi rakh le
zindagi dasht-e-tilismat ki jaanib hai rawan
kuchh to hamrah buzurgon ki dua bhi rakh le
roz ka milna giran-bar-e-talluq na bane
be-sabab us se kabhi KHud ko juda bhi rakh le
(425) Peoples Rate This