Nafsiyati Maraz
mir to nahin hun main
jaane phir bhi aisa kyun
roz roz hota hai
raat ke samundar mein
chand jo ki machhli hai
motiyan ugalta hai
aur ek moti se
jal-pari nikalti hai
aur mujh se kahti hai
kyun udas rahte hun
nind kyun nahin aati
kaun yaad aata hai
kis ka gham satata hai
ulfaton ke mare ho
chahaton ke pyase ho
raat ek samundar hai
jis ki mauj-e-zulmat mein
aashiqon ke nalon ka
an-kahe sawalon ka
zahr KHub hota hai
sair ho ke pi lena
phir gale laga lena
maut ki dulhan ko tum
dafatan ye hota hai
aarzu ki chaukhaT par
dil ke TuT jaane se
dard chiKH uThta hai
ishq! teri tauba hai
(606) Peoples Rate This