Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_587ffe2de39fdad46d62f8fd45f69f6f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaina Aur Main - Khalid Mubashshir Poetry In English - Darsaal

Aaina Aur Main

zamane bhar mein aaina sadaqat ki alamat hai

magar mein is ka munkir hun

bahut jhuTa hai aaina

kabhi wo dew-qamat hastiyon ko ek dam bauna dikhata hai

tilasmati hai aaina

kabhi pasta-qadon ka qad bahut uncha dikhata hai

bahut bahrupiya hai wo

koi farba ho to us ko bahut dubla dikhata hai

bahut hi masKHara hai wo

chalo jaane bhi do ki aaina insan ki fitrat mein shayad Dhal gaya hoga

magar kuchh shoabda-bazi ki had bhi hai

ye aaina to mujh se bhi hamesha makr karta hai

jo mera hath ho sidha to wo ulTa dikhata hai

agar ulTa dikhata hun to phir sidha dikhata hai

bahut jhuTa hai aaina

magar aaina-e-ayyam mein takzib-e-aina ki haisiyyat bhala kya hai

KHuda jaane

magar tariKH kahti hai

yahi takzib-e-aina, zamane bhar ke shishagar qabile ke liye KHatraat ka tasdiq-nama hai

meri tazrib-e-paiham se ye aainon ke saudagar shikasta hain

shikasta kaifiyat mein mujh se ye daryaft karte hain

ki aaKHir kaun ho tum ji

tumhein in aainon se dushmani kyun hai

hamesha aainon ka munh chiDhate ho, sada tazhik karte ho

tum aaKHir chahte kya ho

to lo main aaj ye elan karta hun

mere is ahd ke shishagaro, saudagaro sun lo!

suno, aagah ho jao

main shaer hun

main aaine ko aaina dikhata hun!

(434) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina Aur Main In English By Famous Poet Khalid Mubashshir. Aaina Aur Main is written by Khalid Mubashshir. Read famous Poem Aaina Aur Main for youth and Student by Khalid Mubashshir. Free Download Aaina Aur Main in PDF.