Ghariq-e-zikr-e-KHuda Din Ko KHanqah Mein Tha
ghariq-e-zikr-e-KHuda din ko KHanqah mein tha
jo shaiKH raat ko Duba hua gunah mein tha
tamam sang-dili ya ki phir ghurur-o-hasham
kuchh aur is ke siwa bhi jahan-panah mein tha
huruf-e-makr tere lab pe the magar zalim
mujhe fareb bhi khana wafa ki rah mein tha
tumhaare qaul-o-qasam par fareb kya khata
tumhaara tarz-e-ada bhi meri nigah mein tha
Tapak ke dida-e-nam se sadaen deta hai
jo ek harf-e-tamanna dil-e-tabah mein tha
mujhe to ras ai 'KHalid' yahi zamin aai
ye aur baat mera zikr mahr-o-mah mein tha
(413) Peoples Rate This