Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c5b9b0ad688041e04e4fe8fdc59a0fb1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bahut Zindagi Ka Bhala Chahta Hun - Khalid Mubashshir Poetry In English - Darsaal

Bahut Zindagi Ka Bhala Chahta Hun

bahut zindagi ka bhala chahta hun

ba-alfaz-e-digar qaza chahta hun

meri wahshaton ka sabab kaun samjhe

ki main gum-shuda qafila chahta hun

buton se hun bezar itna ki bas ab

KHuda hi KHuda bas KHuda chahta hun

ye duniya ye uqba to sab chahte hain

magar main kuchh is ke siwa chahta hun

judagana hain ab yazidi mazalim

so main karbala bhi juda chahta hun

anasir ki zanjir ko toD kar main

fana chahta hun baqa chahta hun

mujhe shak hai hone na hone pe 'KHalid'

agar hun to apna pata chahta hun

(427) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Zindagi Ka Bhala Chahta Hun In English By Famous Poet Khalid Mubashshir. Bahut Zindagi Ka Bhala Chahta Hun is written by Khalid Mubashshir. Read famous Poem Bahut Zindagi Ka Bhala Chahta Hun for youth and Student by Khalid Mubashshir. Free Download Bahut Zindagi Ka Bhala Chahta Hun in PDF.