Visal-e-mausam
visal-e-mausam
tumhaare abru ke ek ishaare ka muntazir hai
nazar uThao
aur apne raste pe khilne wale gulab dekho
samaaton se kaho KHamoshi
nigah aur aaine ke mabain
suKHan ka aaghaz kar rahi hai
hawa se puchho
wo kis badan ki mahak se paiham ulajh rahi hai
suno ye mausam visal ka hai
so us ko yun raegan na jaano
agar tum izn-e-safar na doge
to phir ye mausam
gulab rut mein bhi zard patton ka bhes badle
tumhaare aangan se ja malega
aur aainon se gila karega
(375) Peoples Rate This