Mere Bhi Kuchh Gile The Magar Raat Ho Gai
mere bhi kuchh gile the magar raat ho gai
kuchh tum bhi ki rahe the magar raat ho gai
duniya se dur apne barabar khaDe rahe
KHwabon mein jagte the magar raat ho gai
aasab sun rahe the thakawaT ki guftugu
uljhan thi masale the magar raat ho gai
aankhon ki raushni mein andhere bikhar gae
KHeme se kuchh jale the magar raat ho gai
ai dil ai mere dil ye suna hai ki sham ko
ghar se wo chal paDe the magar raat ho gai
aisi bhi kya wafa ki kahani thi ro paDe
kuchh silsile chale the magar raat ho gai
kuchh zine iKHityar ke chaDhne laga tha main
kuchh wo utar rahe the magar raat ho gai
dushman ki dosti ne masafat sameT li
qadmon mein raste the magar raat ho gai
'sahil' fareb-e-fikr hai duniya ki dastan
kuchh raaz khul chale the magar raat ho gai
(415) Peoples Rate This